Mark Zuckerberg’s Biography & success story in hindi.
Hello friends,
Duniya me aese bahut se log hai jo sochte hai ki jo umra me
chote hote hai vo log na to kuch bada soch sakte hai na kuch bada kar sakte
hai. Lekin kuch log hote hai jo aesa kar jate hai jiske bare me koi soch bhi
nhi pata.
Aaj ham bat kar rhe hai ek aese person ki jisne puri duniya
ko aapas me jod rakha hai, ji ha ham bat kar rahe hai FACEBOOK.COM ke malik Mark
Zuckerberg ki. Facebook duniya ki sabse popular social networking site hai
and mark iske CEO hai.
Aaiye hum jante hai facebook or mark ke bare me.
Mark Zuckerberg ke Bachpan ki kahani
Mark Zuckerberg ka janam 14 May 1984 ko New York ke Dobbs
Ferry me hua tha. Unke ghar me mata pita sahit tin sisters hai and mark dusre
no. ke bete hai. Mark ke father ka nam EDWARD ZUCKERBERG hai or vo ek dentist
hai unki maa ka naam KAREN UCKERBERG hai or vo ek PSYCHIATRIST hai. Unke ghar
ke pass hi unke father ka clinic hai jha vo unke marijo ko dekhte hai.
Mark bachpan se hi bahut tej or honhar rahe hai. Jab vo
school me the tabhi se unhe programming me jyada interest hone lga tha. Unke father
unhe ATARI BASIC PROGRAMMING padaya karte the. Mark apni pdai me itne tej the
ki unhone 12 sal ki age me hi apna messanger bana liya tha jiska naam unhone “ZuckNet”
rakha tha.
Is software ke jariye sabhi computers ko ek sath jodkar ghar
ke sabhi log message ko send krke ek dusre se bat karte the.
Unke father ne is software ko unke clinic ke computer me
install kar diya jisse unki receptionist uss messanger ke jariye naye marijo ke
aane ki jankari unhe deti thi.
MARK ke is talent ko dekhkar unke father ne unhe badava diya
or unke liye ek computer teacher bulaya jo unhe programming sikhata tha. Mark
itni teji se programming sikhte the ki unke teacher bhi unhe sabasi dete the.
Jaha dusre bachhe choti si age me padai me dhyan nhi laga
pate vahi mark sirf masti karne ke liye apne dosto ke liye Video games banaya
karte the.
Mark apne high school ke time se hi bahut talented and
topper student the or science and literature subjects me bahut Awards bhi mile
hai.apne high school ke time par unhone ek MP3 media player banaya tha jiska
naam unhone “SYNAPSE” rakha. Ye ek aesa media player tha jo playlist apne aap
hi teyyar karta tha. IT giant software company Microsoft and AOL is media
player ko kharidna chahte the or iske liye unhone Mark ko bahut sare paiso ka
offer bhi diya lekin mark ne mana kar diya.
FaceMash ka Invention Kiya
Apne school ki padai karne ke bad Mark ne aage ki padai ke
liye HARVARD UNIVERSITY me admission liya. Vaha bhi mark apni intelligency ke
karan popular ho gaye the or log unh ek Software developer ke Rup me jante the.
2003 me unhone ek website banyi jiska naam FaceMash tha. Mark
ne ise banana ke liye apne HARVARD UNIVERSITY ke database ko hack kiya or vaha
se university me padne vale sabhi students ke profile pictures ko apne site me
dalne ke liye chori kiya. Or ek aesa program banaya jo apne aap hi kisi do
ladkiyo ya ladko ke photo ko select karta or unme se kon jyada sunder or achha
dikh raha hai ye puchne ke liye Voting karne ke liye kahta.
Is site par aane vale log usi university ke students the or
vote dete the. Dhire dhire is site ki popularity badati gayi or bahut sare log
is website par aane lage. Or jayada traffic hone ke karan university ka server
crash ho gya.
Iske baad mark ko university ke principle or teachers ne
bahut danta or fir uss site ko band karva diya.
FaceBook ki Starting kha se hui
FaceMash ki incidents ke kuch time pahle Harvard university
ka ek student “Divya Narendra” Mark ke pass ek Social networking site ka idea
lekar aaya the or unke sath unke do partners bhi the.
Divya ne mark se kha ki is website ko vo apni Harvard university
ke students ke liye banana chahte hai jiska naam “HARVARD Connection” hoga. Jiska
naam bad me “ConnectU” rakha gaya. Unhone kaha ki is site se jude hue sabhi log
apne photos, personal information or useful links ek dusre ke sath share kar
sakte hai. Mark ne is idea ke liye usi time haa bol diya and kam karna start
kar diya.
Is project par kam karne ke sath unhone apni khud ki social networking
site banane ke bare me socha.
2004 me Mark ne ek Domain name liya jiska naam “TheFaceBook.Com”
registered karva liya. Jise aaj puri duniya ke log Facebook ke naam se jante
hai.
Facebook ka use pahle USA ki university ke students hi karte
the lekin bad me facebook itna popular ho gya ki mark ne ise puri duniya ke
logo ke use ke liye design kiya.
Facebook ki ye khasiyat hai ki aap is par naye dost bana
sakte hai or apne purane dosto ko bhi search kar sakte hai. Facebook pr aap
apne photos ke sath sath apne videos bhi dal sakte hai. Facebook aapse kisi bhi
tarike se paise nahi leta hai. Ye bilkul free service hai or aap apne business
ka advertisment bhi is website par kar sakte hai.
Aaj Facebook ke 1 Billion se bhi jyada users hai.
Mark ne jab facebbok banaya tab vo sirf 19 saal ke the or
itni choti age me hi unhone duniya bhar ke logo ko ek sath jod diya or aaj MARK
JUCKERBERG duniya ke youngest billionares me se ek hai.
2010 me inhe “Time Person of the Year” ka award bhi
mila hai.
2015 me Forbes Magazine ke hisab se zuckerberg duniya ke
sabse aamir logo me 7th position par hai.
Inke upar ek movie bhi bani hai jiska naam “The Social
Network” hai.
إرسال تعليق